Ankhon ke siyah halkay (dark circles) door karnay k liye mandarja zail hidayaat par amal karain.
- Taaza sabziyan (fresh vegetables) istamal karain.
- Fresh fruit juices ka rozana istamal karain.
- Muraghan (meat) ghizaon se parhez karain.
- Zehni dabao (tension) say apnay apko bachaen.
- chaey (tea) ka istamal band kar dain, (lekin green tea faeda mand hai).
- Dry fruits say parhez karain.
- Rozana nihaar mu 1 lemon ka juice pani (water) mai mix kar k pi lia karain.
- Suba khuli aur taaza hava mai gehri sansain lain, morning walk karain.
- Apni body aur eyes ko araam dain, tv aur computer waghaira ka ziada istamal na karain.
- jaldi sonay aur jaldi uthhnay ki adat dalain.
- Ziada dhoop aur ziada serdi (cold) say ankhon ko bachaen.
- Ankho ke gird Vitamin E ka oil lagain.
- 1 kaila (banana), 1 pao (250g) papita, 1 pao amrood, teeno ki chaat bana kar roz khaen.
- lemon ke ark mai roghan chambaili ke chand katray mila kar, raat ko sotay wakt ankho pe laganay say bi halkay door hotay hain.
Contact Information
Email: hdrkashif@gmail.com
Facebook: Dr Kashif Imran
Facebook: Dr Kashif Imran
No comments:
Post a Comment
Note: only a member of this blog may post a comment.