Dant Dard Ke Liye:
- dant dard ke liye kalonji oil aur clove oil, aik aik qatra mila kar lagain.
- 4 adad sabat laal mirch (red chilli) ko aik pao paani (water) mai halki anch par obalain, jab paani adha reh jaey to choolha (stove) band kar dain aur paani ko thora sa thanda honay dain Jab paani neem garam reh jaey to is pani say kulli karain, dant ka dard khatam ho jaeyga.
- Danton ka mail door karne liye lahori namak ko aag main jala ker bareek pees lain phir is main chand qatray kalonji oil aur serson ka oil (mustard oil) mila ker danton per mal lain.
- lemon juice brush ki madad se danton per lagaen chand dinon main daant sufaid ho jaen ge.
- namak (salt) pees ker serson ke oil (mustard oil) main mila ker paste bana kar rakh lain rozana sotay waqat ye paste dantoon per laga ker thori dair raal tapkaen phir so jaen chand hafton main daant mazboot ho jaen ge.
- long ka oil (clove oil) din main 3 bar lagaen, chand dinon main daantoon ke keeray (germs) khatam ho jaen ge.
- Masoron se khoon tab aata he jab pait main koi kharabi ho lehaza pehlay is ka ilaaj kerwaen.
- Ager insaan ziyada dair khali pait rahe to bhi masooron se khoon aajata he. Is liye pait ko 8-10 ghanton (hours) se ziyada khali na rakhain. wakfay wakfay say kuch kha lia karain.
- mushak, kafoor aur noshader aik aik tola pees ker mix ker lain aur subha shaam masoron per lagaen, chand dinon main waram bilkul theek ho jae ga.
Contact Information
Email: hdrkashif@gmail.com
Facebook: Dr Kashif Imran
Facebook: Dr Kashif Imran
WhatsApp: 0337-1426000
http://wa.me/+923371426000
http://wa.me/+923371426000
sir jee mera dant bikul theek the or mai ne us ki safi kar ra li ab mere sare neeche wale danton k masoroe neeche ho gaye hai kafi had tak or un pe tatar bhi jama howa hai plzzzz masoron ka vapis ane ka koi elaj bata den ALLAH PAK AP KO KHUSHYAN OR Ap ki sari jaez Murad Qabool farme ameen
ReplyDeletejab tak dekh na lon aur bohat say sawal na kiye jaen to sahi tara pata nai chalay ga, khair mai different option apko deta hon khud hi select kar lo,
Deletedant mai keera hai, khokhlay aur toot-tey bi hain to
Calcarea Fluor 30
agar daanto say masoorho ka gosht alag ho raha hai aur namkeen cheez khanay say dard mai izafa ho jata hai, to ap
CarboVeg 30
agar danto say gosht alag ho raha hai, to ap
Mercurius 200
agar masoorhay pakay huey hain aur dant gir rahay hain aur hiltay bi hain to
phosphorus 200
homeo medicine ko 3 time use karo, suba dopahar shaam, neem garam pani mai 5 drops dal kar lay lain..
Very informative Allah jaza dy,,,,fatmia mubashir
ReplyDeleteJazakAllah
DeleteMery dantoun ko thanda garm bhout lagta plzz iss ka elag bata dain.....waitng MRS chaudhry
ReplyDeletejab tak examine na kia jaey aur bohat say sawal na kiye jaen to sahi tara pata nai chalay ga, dant dard ki waja kuchh aur bi ho sakti hai, apki age bi muje nahi pata...
Deleteagar masoorhay pakay huey hain aur dant gir rahay hain aur hiltay bi hain to
phosphorus 200
khana khanay say pehlay pani pee lo, khanay ke baad pani nahi peena,,, suba uthh ke brush aur raat soney say pehlay brush karna hai... aram say aur thora brush,, ziada thanda pani istamal nai karna,, behtar hai ke miswak kia karo...
homeo medicine ko 3 time use karo, suba dopahar shaam, neem garam pani mai 5 drops dal kar lay lo..
agar kuch samajh na aye to muje skype pe add kar lo..
H/Dr. Kashif Imran
Google Talk and Skype ID: hdrkashif
mere pori 32vi me drd hai 2 sal ho gae hain aur 3 sal chal rha hai magar drd kam nah hwa bhat ilaj krwaya had se ziyada magar kuch nahi hwa ab to dant b hil rhe hain meri age 23 hai plzz mujhe kuch bataen k kya kron buhat se dese totke b use kr chuki hn main ksi se koi farq nahi parra..
ReplyDeletejab tak examine na lon aur bohat say sawal na kiye jaen to sahi tara pata nai chalay ga, dant dard ki waja kuchh aur bi ho sakti hai, ap young ho aur is umar mai itna ziada dant ka problem nai hota... khair mai different option apko deta hon khud hi select kar lo,
Deleteap "ferrum phos 200" use karo, is say dant dard khatam ho jaeyga inshaaAllah.
agar masoorhay pakay huey hain aur dant gir rahay hain aur hiltay bi hain to
phosphorus 200
khana khanay say pehlay pani pee lo, khanay ke baad pani nahi peena,,, suba uthh ke brush aur raat soney say pehlay brush karna hai... aram say aur thora brush,, ziada thanda pani istamal nai karna,, behtar hai ke miswak kia karo...
homeo medicine ko 3 time use karo, suba dopahar shaam, neem garam pani mai 5 drops dal kar lay lo..
H/Dr. Kashif Imran
Skype: hdrkashif
thank u so much k aap ne rply diya mujhe nahi laga tha k koi rply aae ga but thanxx..
Deleteis waqt b buhat buhat dard hai bat tk nahi ho pa rhi mujhse sari rat ro kr guzri hai meri long ka kalonji oil ka parha tha maine net pr wo use kr rhi hn magar bilkul farq nahi parra... ab ghar me b nahi batati kya bataon itna ilaj hone k bad b kuch thek nahi hota ab to sharmindagi hoti hai k kya bataon ksi ko ...
aur kashif bhai is se kuliyan krni hai ya pena hai...???????
Delete5 drops of medicine in a cup of normal water, 3 times a day after meal... isko peena hai pani mai dal kar
Deletefiza ap muje email karo
hdrkashif@gmail.com
Thanks everyone and sorry i couldn't reply you early.
ReplyDeleteap sab muje Skype par add kar saktay hain, so i could tell you something about your problems.
My Skype Id: hdrkashif
Google Talk: hdrkashif
Sar mere masuroo se blad ata hai koi dwai btaye..... Plz....
ReplyDeletemail me at
Deletehdrkashif@gmail.com
Merc Sol 30
Delete10 katray half cup pani mai daal kar
suba dopahar shaam, istamal karain.
This comment has been removed by the author.
ReplyDeleteKashif bhai mere dantoo me pila pn a rha hai plz ko Audi dwai btaiye jisse danth white ho jaye....
Deleteriwan bhai apko aik desi nuskha btata hon, ap wo bana lo.
Delete10 tola lemon ke chhilkay sukhaa kar pees lain, is mai 1 tola namak aur 6 masha mushk-kafooor mila kar rakh lain...
daanto par malnay say tamam mail aur peelahat door ho jaeygi. dant sufaid ho jaeingay...
mere danto me doc ne kaha ki kide hai aur usne mere 2 danto me masala bhar diya aur 11 danto ko bharne ko bola hai par mujhe ye nahi sahi laga to ap kuch aur ilaj bta de jisse mujhe masala na bharvana padhe plzzzzzzzzzzzzzzzz
ReplyDeleteabi apka message dekha,, ap log idhar msg ki bajaey muje email kar lia karain, ta ke jald apko jawab mil jaey...
Deleteagar ab bi koi dant ka problem ho to muje email kar laina
hdrkashif@gmail.com
any one can email me.