Motaapa ye Obesity se nijaat k liye mandarja zail hidayaat par amal karain:
- Rozana nihaar mu 3 glass pani pee lain aur 45 minutes k baad nashta kar lain. chand hafto mai motaapa door jaeyga.
- Rozana nihaar mu 3 danay injeer (figs) ke istamaal karain, chand hi hafto k istemaal say motapa door ho jaeyga.
- Sabziyo (vegetables) ka ziada istamal karain.
- Carbohydrates wali ghizaen kam istamal karain.
- Kehva mai lemon juice mila kar peena , wazan kam karnay mai ehm kirdaar ada karta hai.
- Morning walk motaapa door karnay k liye bohat behtareen hai.
- Suba nihaar mu neem garam pani (water) mai shehad (honey) mix kar k peenay say faltu charbi khatam ho jati hai.
- Suba nihaar mu neem garam pani (water) mai lemon juice mila kar peenay say jisam ki faltu charbi khatam ho jati hai.
- Suba nihaar mu aur lunch k baad Qehwe mai lemon juice mila kar piya karain.
- Lemon ka achaar (pickle) motay logo k liye mufeed hai.
- Din mai 3 bar lemon juice pani (water) mai mila kar piya karain.
- khanay ke baad thori si ajwayan pani (water) k sath kha lia karain.
- khanay ke sath Salad ko lazmi use karain.
- Adrak (ginger) ki chaey piya karain.
- Ghee ki bajaey khanay ka tail (cooking oil) istamal karain.
- Chawal (rice), aalu (potato), matar, gobhi, ghee aur dosri baadi cheezain kam istamal karain.
- Rozana rassa taapnay ki warzish karain.
- Rozana nihaar mu orange juice piya karain.
- Rozana nihaar mu 3 lehsan (garlic) ke juwe pani (water) se nigal lia karain.
- Apple khanay se pait halka ho jata hai.
Contact Information
Email: hdrkashif@gmail.com
Facebook: Dr Kashif Imran
Facebook: Dr Kashif Imran
No comments:
Post a Comment
Note: only a member of this blog may post a comment.