- agar nazla ya gala kharab ho aur akser resha ho jata ho to rozana raato sonay se pehlay 3 danay badam (almonds) aur 3 kali mirchain (black pepper) chaba kar kha lia karain. 1 haftay mai resha khatam ho jaeyga.
- jaltay huey koelon per thori si sugar daal ker iska dhuan sunghain, zukaam door ho jaeyga.
- khansi k liye 1 tola ALSI koot kar 1 pao PANI (water) mai boil karain, jab pani aadha reh jaey to chhan kar 14 qatray (drops) KALONJI ka oil aur 2 tola SHEHAD (honey) mila kar pilaen.
- Galay ka darad ke liye neem garam pani (water) main aadha chammach namak (salt) mila ker ghararay karain galay ka darad door ho jae ga.
- Ajvaen desi 5gram, dar cheeni 10gram, sonthh 10gram, dana bari elaechi 7gram --- grind kar ke safoof bana kar kisi dabbi mai mehfooz kar lain.......... adha gram suba aur shaam, podinay ke kehvay ke sath ya taza paani ke sath --- har kisam ke nazla, zukaam aur dust allergy ko khatam karta hai.. tab tak istamal jari rakhain jab tak araam nai aata... bohat mujarrab o aala nuskha hai...
Contact Information
Email: hdrkashif@gmail.com
Facebook: Dr Kashif Imran
Facebook: Dr Kashif Imran
WhatsApp: 0337-1426000
http://wa.me/+923371426000
http://wa.me/+923371426000
No comments:
Post a Comment
Note: only a member of this blog may post a comment.