Place For Business Add

Friday, 7 March 2014

INFERTILITY / SEXUAL HEALTH & PROBLEMS


 اولاد سے محروم افراد علاج کیلئے رابطہ کریں

مدت علاج : ۱ ماہ 

 اولاد نرینہ کی دوائی کیلئےبھی رابطہ کریں - مدت علاج ۷ یوم


ہومیوپیتھک ڈاکٹر کاشف عمران
skype: hdrkashif
email: hdrkashif@gmail.com
WhatsApp: 0337-1426000
http://wa.me/+923371426000


Note: I am receiving many emails but without complete details, so to save time, compose your emails in this way and please don't hide anything from a doctor.

Subject: Infertility/PE/Licoria/HairFall/Skin/Teeth Problem - whatever is the main problem.

Name
Gender
Marital Status:                          Marriage Date
Kids / Pregnancy
Age:                   Date of birth
Weight:
Height:
Constipation Problem
Nature of Job
Sleep timing
Smoking ?:
Medicine Used/using
Any bad habbit? its duration
Address/City/Country
Contact No./Email/Skype (anything you want to share)

Main Problem

Other problems: 1.
                           2.

Explanation or more details whatever you want to write about your problem.

Send me your picture as well especially the pic of effective area of body, if possible.

Thanks 
Dr. Kashif Imran

Hamal (pregnancy) ke doran konsa khana NAHI khana chahiye - what foods to avoid in pregnancy

hamal ke doran aisi ghiza istamal karain jiska sirf zaeka hi behtar na ho balkay ghizaeyat say bharpoor ho (nutritious). agar koi ghiza maa ke liye nuksan deh hai to yakeeni tor say wo ghiza pait mai ja kar bachay ko bi nuksan pohncha sakti hai. bachay ki sehat mai zara si kharabi, pait ke andar hi is ki maut ka sabab ban sakti hai, jo ke maa ki zindagi ke liye bi khadshaat kharay kar deta hai. is liye khanay peenay mai bohat ehtiyaat say kaam lain.
  1. puraana gosht jo bohat arsay say para hua hai aur istamal mai nahi aaya aur ab pakaanay ke baad bhi sahi tarah say naram nahi hua to wo beemarian paida kar sakta hai. Is kisam ke gosht mai protein nahi hoti, balkay is mai bacteria hota hai jo paet ki bimarion ka sabab banta hai.
  2. Noodles jo aam tor par ham jaldi aur
  3.  kam wakt mai bana kar shok say khatay hain, wo hamal ke doraan nahi khanay chahiye, kyunke is mai ghee ki mikdaar, chiknaee ki mikdaar ziada hoti hai aur namak (salt) bi ziada hota hai, jo khoon ke dabao (blood pressure) ko ragon mai barha deta hai (High BP).
  4. Sasta gosht jo ke ham paiso ki bachat ke liye khareed letay hain wo bi nuksan deh hai. kyunkay ye nahi pata k gosht kitnay arsay ka baasi aur purana hai. is say bi pait ki bimariyan laahak ho sakti hain.
  5. naram kisam ki (cheese) istamal na karain kyunkay masnuee tareekay say masnuee zaika lay kar jab aisi cheezain banaee jati hain to in mai be-tahaasha jaraseem aa jatay hain, jo agay chal kar nuksan ka baes bantay hain.
  6. aisay anday (eggs) na khaen jo puranay ho gaey hon ya dabb gaey hon, aisay anday to aik aam sehat mand ke liye bi khatra hain, phir aik haamla khatoon ke liye to bohat hi khatarnaak sabit ho saktay hain.
  7. Jin cake, cookies, double roti (bread) mai anda (egg) istamal hotay hain un say parhaiz karain. kyunkay anda (egg) maidey mai garmi paida kar ke naee bimariyon ko janam deta hai.
  8. masnuee zaeka dar (artificial flavoured) ghar mai ban-nay wali ice cream say bi parhaiz karain.
  9. Custurd aur cream say bi ijtanaab karain, ye bi utnay hi muzir-e-sehat hain jitnay ke cake aur cheese hain.
  10. tali hui machhli (fried fish) ka ziada istamal na karain, bohat nuksan de sabit ho sakti hai, iskay istamal say bachay ki zehni nasho numa ruk jati hai aur bachay ka zehan kamzor ho jata hai.
  11. nasha aawar ashyaa cigrette waghaira say parhaiz karain, hamal ke doraan ye maa aur bachay dono ke liye nuksan deh hai.

Contact Information
Email: hdrkashif@gmail.com
Facebook: Dr Kashif Imran
WhatsApp: 0337-1426000
http://wa.me/+923371426000

Hamal ko roknay ke tareekay - avoid pregnancy naturally


  1. makhsoos ayyaam (menses) ke baad 10 say 12 din tak aur 3 din say pehlay ham-bistari (sexual intercourse) NA karain. agar in dino ka sahi tara pata na chalay to chand alalaat ka mushahida karain, jo apko period ka pata deti hain. maslan Mucus ka ikhraaj NA hona, andam nihani (Cervical) ka temperature ziada hona.
  2. agar orat apnay bachay ko dudh pilati rahay to is doraan phisiologic effect ki waja say bacha dani mai anda nahi banta kyunke Lactogenic harmone, projestrone ko mutasir karta hai aur khud active ho jata hai. Is tara Feeding ke zariye bi hamal ke chances bohat kam ho jatay hain.
  3. Condom ka istamal bi hamal say bachata hai. kyunke condom say sperm , ovari mai dakhil nahi ho saktay aur mian bv apni jinsi khuahish (sexual desire) puri kar laitay hain. lekin condom acha use karain kyunke baz okaat condom phhat (leak) bi sakta hai aur jiskay nateejay mai pregnancy ho sakti hai.
  4. Birth control pills say bi hamal ko roka ja sakta hai lekin is mai ehtiat say kaam lain kyunke in adviyaat ke istamal say aurat ki sehat par bohat buray asraat murattab hotay hain. is liye behtar hai ke milaap ke wakt hi aisi medicine use ki jaey jin mai contraceptive Cream or lotion shamil hain.
  5. Spermicides istamal karain, iskay ilava vaginal tablets waghaira vagina mai rakh di jati hain jis say male sperms mar jatay hain ya useless ho jatay hain.
  6. jaisay mard ke liye condom hain usi tara orat bi venyl ya rubber ki bani sheet istamal kar sakti hai jo sperm ke dakhlay ko rok deti hai.
  7. baz hazraat apni marzi say nas bandi (Vesectomy) kara laitay hain, aisa tab kia jata hai jab mustakil tor par olaad ki khuahish ya zaroorat na ho, is ky liye aik chhota sa operation kia jata hai, jis mai mard ki Ejaculatory Duct block kar di jati hai aur sperms bahir kharij nahi hotay.
  8. aurto mai ye tareeka Tubal Occlusion ya surgery kehlata hai jis mai aurton ki fallopian tubes block kar di jati hain aur wo mustakil tor par sperm ko hasil nai kar paati. is tara hamal honay ka chance bilkul khatam ho jatay hain.
  9. agar menses start honay say 3 din pehlay, homeopathy medicine Pulsatilla 200 ke 5 drops ki ek khuraak, musalsal 3 din istamal kar li jaey to 1 mahinay tak pregnancy nai hoti...

SAMPLE CHARTS FOR EASY UNDERSTANDING



Contact Information
Email: hdrkashif@gmail.com
Facebook: Dr Kashif Imran
WhatsApp: 0337-1426000
http://wa.me/+923371426000